Taufeeq
As salam u alaikum! Apko pata ha "toufeeq" kia ha? Ap main se aksar ne ye suna huga ky Allah ky ghar ka bulawa ata ha tw bnda jata ha werna kitne hi maal daar log hain jo aj tak umrah ya hajj per nhi gaye even kuch ese bhi log hain jo Makkah main rehty hain lekin aj tak unko jaane ki toufeeq nhi hui or yaqeen karain esa waqai ha ky Allah toufeeq dega tw wo umrah ya hajj per jayen gy lekin apko pata ha? Yehi maamla sirf hajj or umrah ky sath nhi ha Har naiki ko kerne or har gunah se bachne main hai Hum se kitne log kehty hain yar time nhi milta Quran parhne ka! Yar time nhi milta 5 waqt ki Namaz ka! Nahi esa nhi ha humain time to milta ha lekin toufeeq nhi milti! Humain Allah se har naik kaam ko kerne hi toufeeq sabse pehly mangni chahye ha! Ye sab main ne kyun kaha Q k kuch log phir masroof hu gaye zindagi main or parhna chor dia halake time hai Mere ik lecture or aj ky trending main jaane wale dramas ky timmings taqreeban same hi ha tw ye kese hu skta ha ky wahan to 10 m...